dam-e-visal ye hasrat rahi rahi na rahi
jamal-e-yar ki hairat rahi rahi na rahi
use ye naz tha KHud par ki zindagi hai meri
so zindagi ki haqiqat rahi rahi na rahi
kamal kar ke dikhaya hai meri aankhon ne
ab in mein pahli si wahshat rahi rahi na rahi
laga hua hai zamana isi tajassus mein
wo mere pahlu ki zinat rahi rahi na rahi
koi bhi rabt magar daimi nahin hota
kisi ke haq mein tabiat rahi rahi na rahi
hazaron yar hazaron hi chahne wale
magar nasib mein KHalwat rahi rahi na rahi
hai kaisa zor ka tufan bachen bachen na bachen
rahi rahi na rahi chhat rahi rahi na rahi
yun apne jazb mein gum ho gaya hai ab 'sani'
sharab-o-mai ki zarurat rahi rahi na rahi
Ghazal
Dam-e-visal ye hasrat rahi rahi na rahi
Wajeeh Sani