اردو हिंदी
Dam-e-tamir taKHrib-e-jahan kuchh aur kahti hai | Shaahi Shayari
dam-e-tamir taKHrib-e-jahan kuchh aur kahti hai

Ghazal

Dam-e-tamir taKHrib-e-jahan kuchh aur kahti hai

Shaer Fatahpuri

;

dam-e-tamir taKHrib-e-jahan kuchh aur kahti hai
kali kuchh aur kahti hai KHizan kuchh aur kahti hai

kada ki yaad sab kuchh hai magar ai zahid-e-nadan
dilon se masti-e-chashm-e-butan kuchh aur kahti hai

kabhi shayad wo daur aae jab insan ho sake insan
abhi to gardish-e-haft-asman kuchh aur kahti hai

bana kar aashiyane fasl-e-gul mein shad hain lekin
chaman walon se barq-e-be-aman kuchh aur kahti hai

bahut mushkil hai manzil tak jo ahl-e-karwan pahunchen
ki hum se gard-e-rah-e-karwan kuchh aur kahti hai

ye ghaflat ai hayat-e-chand-roza ke parastaro
uTho tum se hayat-e-jawedan kuchh aur kahti hai

asar naghmon mein bhi hai nala-ha-e-gham mein bhi 'shair'
magar TuTe hue dil ki fughan kuchh aur kahti hai