dam-e-suKHan hi tabiat lahu lahu ki jae
koi to ho ki teri jis se guftugu ki jae
ye nukta kaTte shajar ne mujhe kya talim
ki dukh to milte hain gar KHwahish-e-numu ki jae
kashida-kar-e-azal tujh ko e'tiraaz to nain
kahin kahin se agar zindagi rafu ki jae
main ye bhi chahta hun ishq ka na ho ilzam
main ye bhi chahta hun teri aarzu ki jae
mohabbaton mein tu shajre ka bhi nahin mazkur
tu chahta hai ki maslak pe guftugu ki jae
meri tarah se ujaD kar basaen shahr-e-suKHan
jo naql karni hai meri to hu-ba-hu ki jae
Ghazal
Dam-e-suKHan hi tabiat lahu lahu ki jae
Abbas Tabish