dam-e-raftar-e-jaanan ye sada-e-naz aati hai
sambhaalen sab dilon ko panw ki aawaz aati hai
saba jo pur mera ai baghban lati hai gulshan mein
qafas se sath yan tak hasrat parwaz aati hai
abhi jao na yaran qafas-e-gulzar ki jaanib
zara hum muntazir hain taqat-e-parwaz aati hai
asar ye hai ki bulbul jab qafas mein karti hai nala
shikast-e-rang-e-gul ki bagh se aawaz aati hai
nazar duzdida teri kab nazar aati hai aashiq ko
uDa jata hai dil aur tir ki aawaz aati hai
shikwa-e-husn ye hai jab kabhi tum ja nikalte ho
to but-KHane se ya-allah ki aawaz aati hai
sada di main ne jab aane lagi subh shab-e-waslat
samajh kar aa kidhar o tafarqe parwaz aati hai
tere bais se jis ne kal hamein di thi bahut iza
wahi shab aaj phir ai tala-e-na-saz aati hai
hui muddat tere zulfon ke diwane ki sehat ko
bigaD jata hai shab zanjir ki aawaz aati hai
zara kah de koi un se qarib aaya dam-e-aKHir
ki ulTi sans ab to ai mere dam-saz aati hai
jawani ke nishan andam se hone lage zahir
mubarak ho bahaar ai sard bagh naz aati hai
jhukae sar na kyun KHamosh baiThun hijr-e-jaanan mein
ki dil ke TuTne ki kan mein aawaz aati hai
bhala aaj zinda aah-e-dil aashiq kare paida
ki KHud wo kah rahe hain dard ki aawaz aati hai
'rashid' ashaar mohmal paDh rahe ho jama hain shair
KHajil hote nahin tum dil ki ye aawaz aati hai
Ghazal
Dam-e-raftar-e-jaanan ye sada-e-naz aati hai
Rasheed lakhnavi