dam-e-marg baalin par aaya to hota
mere munh mein pani chuwaya to hota
ye sach hai wafadar koi nahin hai
kisi din mujhe aazmaya to hota
tasalli na deta tashaffi na karta
mere rone par muskuraya to hota
mujhe apni furqat se mara to mara
dam-e-naza mukhDa dikhaya to hota
ghalat hai ki murda nahin zinda hota
tu mere janaze par aaya to hota
wahin chaunk uThta main KHwab-e-lahad se
mera shana tu ne hilaya to hota
hua id ke din main qurban tujh par
bula kar gale se lagaya to hota
mere qatl par tum ne biDa uThaya
mere hath ka pan khaya to hota
wo sunta na sunta hawas to na rahti
mera haal hamdam sunaya to hota
misi par bhi daghon ka samra na paya
charagh ek lahad par jalaya to hota
gila hai mujhe tum se murghan-e-gulshan
kabhi dard mera baTaya to hota
kabhi mere jaanib se parwaz karte
koi haal-pursi ko aaya to hota
nahin ye bhi shikwa na aae na aae
gulon ko mera gham sunaya to hota
dar-o-baam ka 'bahr' KHwahan nahin main
mere aashiyane mein saya to hota
Ghazal
Dam-e-marg baalin par aaya to hota
Imdad Ali Bahr