dam-e-barq-o-baad hota nafas-e-sharar hota
kisi rang se to jina mujhe sazgar hota
mujhe us ki be-ruKHi ka bhi jo e'tibar hota
main dua ko hath uTha kar na gunahgar hota
na bala se ashk thamte na dua qubul hoti
main KHulus-e-bandgi se to na sharmsar hota
wo naqab uTh bhi jata to nazar kahan se late
tere ru-ba-ru bhi tera wahi intizar hota
gham-e-dostan ghanimat hai watan se dur warna
mere dil pe kya guzarti jo mera dayar hota
mujhe 'shor' de rahe hain wo fareb-e-tez-gami
ki jo do qadam bhi chalte to na e'tibar hota
Ghazal
Dam-e-barq-o-baad hota nafas-e-sharar hota
Manzoor Husain shor