اردو हिंदी
Dam-e-aKHir bhi humne zaban se kuchh na kaha | Shaahi Shayari
dam-e-aKHir bhi humne zaban se kuchh na kaha

Ghazal

Dam-e-aKHir bhi humne zaban se kuchh na kaha

Sher Singh Naaz Dehlvi

;

dam-e-aKHir bhi hum ne zaban se kuchh na kaha
jahan se uTh gae ahl-e-jahan se kuchh na kaha

chali jo kashti-e-umr-e-rawan to chalne di
ruki to kashti-e-umr-e-rawan se kuchh na kaha

KHata-e-ishq ki itni saza hi kafi thi
badal ke rah gae tewar zaban se kuchh na kaha

bala se KHak hua jal ke aashiyan apna
taDap ke rah gae barq-e-tapan se kuchh na kaha

gila kiya na kabhi un se bewafai ka
zaban thi lakh dahan mein zaban se kuchh na kaha

KHushi se ranj sahe 'naz' umr bhar hum ne
KHuda-gawah kabhi aasman se kuchh na kaha