dam-ba-KHud hum to Dare baiThe hain
wo hababon se bhare baiThe hain
qatl hone pe mere baiThe hain
sar hatheli pe dhare baiThe hain
dil se nazdik Dare baiThe hain
dur KHatir se Dare baiThe hain
wo juari hain jo naqd-e-dil-o-jaan
ishq-bazi mein hare baiThe hain
haal-e-dil kya kahen hum soKHta-jaan
misl-e-quliyan wo bhare baiThe hain
ye jahan-dida hain wo aahu-chashm
ek zamane ko chare baiThe hain
qasr-e-tan KHak ho aa jaen kahan
ghar miTa kar nighare baiThe hain
but hain KHamosh jo but-KHane mein
ba-KHuda tujh se Dare baiThe hain
kar chuke jama-e-asli sad-chaak
hath par hath dhare baiThe hain
phuT bahne ko phaphulon ki tarah
ashk aankhon mein bhare baiThe hain
jite-ji muda-dili se ai 'shad'
zinda dargor mare baiThe hain
Ghazal
Dam-ba-KHud hum to Dare baiThe hain
Shad Lakhnavi