dam-ba-KHud gulshanon ki ranai
kaisi khoi hui bahaar aai
tum ko sauda-e-mahfil-arai
aur hamein justuju-e-tanhai
rahaten tum ko ranj hum ko aziz
apni apni nazar ki gahrai
kitni begangi se dekhte ho
jab gham-e-zindagi ki baat aai
zaKHm-dar-zaKHm hai hayat 'fana'
kaise kar paoge masihai
Ghazal
Dam-ba-KHud gulshanon ki ranai
Parveen Fana Syed