dalil-e-kun hai magar dard-e-la-dawa nikli
ye kaenat ajab hairat-azma nikli
ye mana sach hai koi gham sada nahin rahta
KHushi mili thi to wo bhi gurez-pa nikli
hawa ki tarah se uD jaunga jahan bhi rahun
pae KHabar qafas-e-rang se sada nikli
kahan se aai hawa is ujaD manzar mein
jo ghar se nikli to wo bhi shikasta-pa nikli
wo nim-shab wo ruKH-e-mahtab-o-abr-e-siyah
shikastagi thi ki chashm-e-falak-numa nikli
wo mauj-e-mai thi jo chamka gai udasi ko
kisi ki KHanda-labi bu-e-ashna nikli
haya ke sath taqaza-e-qahr-o-mahar bhi hai
teri nazar se tabiat meri juda nikli
Ghazal
Dalil-e-kun hai magar dard-e-la-dawa nikli
Syed Amin Ashraf