dalael se KHuda tak aql-e-insani nahin jati
wo ek aisi haqiqat hai jo pahchani nahin jati
ise to rah mein arbab-e-himmat chhoD dete hain
kisi ke sath manzil tak tan-asani nahin jati
kise milti hain wo aankhen mohabbat mein jo roti hain
mubarak hain wo aansu jin ki arzani nahin jati
ubharta hi nahin dil Dub kar bahr-e-mohabbat mein
jab aa jati hai is dariya mein tughyani nahin jati
gadai mein bhi mujh par shan-e-istighna barasti hai
mere sar se hawa-e-taj-e-sultani nahin jati
muqim-e-dil hain wo arman jo pure nahin hote
ye wo aabaad ghar hai jis ki virani nahin jati
kuchh aisa partaw-e-husn-e-azal ne kar diya raushan
qayamat tak to ab zarron ki tabani nahin jati
kuchh aise barguzida log bhi hain jin ke hathon se
chhuDa kar apna daman pak-damani nahin jati
hujum-e-yas mein bhi zindagi par muskuraata hun
musibat mein bhi meri KHanda-peshani nahin jati
Ghazal
Dalael se KHuda tak aql-e-insani nahin jati
Makhmoor Dehlvi