dair-o-kaba ki azmat musallam magar
mai-kada bhi KHuda hi ke ghar sa lage
chand taron ki jo de raha hai KHabar
dekhne mein to wo be-KHabar sa lage
gumrahi mein bhi diwana-e-dil-figar
manzil-e-hosh ka rahbar sa lage
ye jahan rashk-e-jannat hai kis ke liye
aur kisi ko yahi dard-e-sar sa lage
jhil mein adh-khile phul par chandni
hum ko manzar ye teri nazar sa lage
sham-e-bazm-e-adab tha wo kal tak magar
aaj 'laghar' charagh-e-sahar sa lage

Ghazal
Dair-o-kaba ki azmat musallam magar
Om Prakash Laghar