dair-o-haram mein dasht-o-bayaban-o-bagh mein
DhunDo na mujh ko main hun KHud apne suragh mein
han ai asiro KHair se ho kis suragh mein
khilte hain ab to phul hawa-bast bagh mein
is barf-zar mein bhi jalati hi jati hai
wo ek shabih jo hai nihan dil ke dagh mein
rahta hai ab zamin pe wo aasman-pasand
han wo KHajil tha jis se KHuda bhi dimagh mein
mumkin nahin ki ghaar mein dil ke utar sake
mange ki raushni hai tumhaare charagh mein
kya qadr wo karenge kisi KHush-nawa ki 'hosh'
tafriq kar saken jo na qumri-o-zagh mein
Ghazal
Dair-o-haram mein dasht-o-bayaban-o-bagh mein
Ibraheem Hosh