dair-o-haram hain manzar-e-ain-e-iKHtilaf
haq par sada nazar hai meri hin-e-iKHtilaf
bairun-e-dar hain surat-o-mani ke parda-dar
hain parda-e-KHifa mein qawanin-e-iKHtilaf
hai barqarar gardish-e-dauran-e-rozgar
nairangi-e-KHayal hai aain-e-iKHtilaf
mamnun-e-rasti hai har ek nuqta-e-nazar
madd-e-nazar jahan mein hai tamkin-e-iKHtilaf
kya para-ha-e-pairahan-e-uns baKHiya hon
jab hon udheD-bun mein majaanin-e-iKHtilaf
lazim hamein hai qat-e-nazar madh-o-zam se ab
tahsin-e-ittifaq hai nafrin-e-iKHtilaf
dildariyan kahan hain wo 'sahir' kabhi jo thin
KHatir-shikan hain ab to mazamin-e-iKHtilaf
Ghazal
Dair-o-haram hain manzar-e-ain-e-iKHtilaf
Sahir dehlavi