اردو हिंदी
Dair-o-haram bhi aae kai is safar ke bich | Shaahi Shayari
dair-o-haram bhi aae kai is safar ke bich

Ghazal

Dair-o-haram bhi aae kai is safar ke bich

Asha Parbhat

;

dair-o-haram bhi aae kai is safar ke bich
meri jabin-e-shauq tere sang-e-dar ke bich

kuchh lazzat-e-gunah bhi hai kuchh KHuda ka KHauf
insan ji raha hai isi KHair-o-shar ke bich

ye KHwahish-e-visal hai ya hijr ka suluk
chuTki si li hai dard ne aa kar jigar ke bich

bichhDe to ye malal ki saughat bhi mili
takid thi KHayal na aae safar ke bich

KHushbu ki tarah lafz the mani ba-qaid-e-rang
ye marhale bhi aae hain arz-e-hunar ke bich

dulhan bani thi 'asha' wo shab yaad hai mujhe
gum the mere hawas hujum-e-nazar ke bich