dahr mein ek tere siwa kya hai
tu nahin hai to phir bhala kya hai
sila-e-zauq mai-kashi malum
zarf kya shai hai hausla kya hai
hashiye apne matn hai un ka
mohtasib phir saza jaza kya hai
puchhta hun har ek sae se
chandni ka ata-pata kya hai
un ko hai dawa-e-asihai
jo nahin jaante shifa kya hai
kis liye gardish-e-mudam mein hain
aasmanon ko ye hua kya hai
le uDegi buland-parwazi
dosto saya-e-huma kya hai
itni ifraat aisi mahrumi
dene wale moamla kya hai
sail-e-sham-o-sahar mein bahte hain
kya KHabar zist kya qaza kya hai
hum hi chup ho gae 'tamannai'
de raha hai koi sada kya hai
Ghazal
Dahr mein ek tere siwa kya hai
Aziz Tamannai