dahr ko lamha-e-maujud se haT kar dekhen
nai subhen nai shamen nae manzar dekhen
ghar ki diwaron pe tanhai ne likkhe hain jo gham
mere gham-KHwar unhen bhi kabhi paDh kar dekhen
aap hi aap ye sochen koi aaya hoga
aur phir aap hi darwaze pe ja kar dekhen
kuchh ajab rang se kaTte hain shab o roz apne
log kya kuchh na kahen hum ko jo aa kar dekhen

Ghazal
Dahr ko lamha-e-maujud se haT kar dekhen
Mushfiq Khwaja