dahan par hain un ke guman kaise kaise
kalam aate hain darmiyan kaise kaise
zamin-e-chaman gul khilati hai kya kya
badalta hai rang aasman kaise kaise
tumhaare shahidon mein daKHil hue hain
gul-o-lala-o-arghawan kaise kaise
bahaar aai hai nashshe mein jhumte hain
muridan-e-pir-e-mughan kaise kaise
ajab kya chhuTa ruh se jama-e-tan
luTe rah mein karwan kaise kaise
tap-e-hijr ki kahishon ne kiye hain
juda post se ustuKHan kaise kaise
na muD kar bhi be-dard qatil ne dekha
taDapte rahe nim-jaan kaise kaise
na gor-e-sikandar na hai qabr-e-dara
miTe namiyon ke nishan kaise kaise
bahaar-e-gulistan ki hai aamad aamad
KHushi phirte hain baghban kaise kaise
tawajjoh ne teri hamare masiha
tawana kiye na-tawan kaise kaise
dil-o-dida-e-ahl-e-alam mein ghar hai
tumhaare liye hain makan kaise kaise
gham-o-ghussa o ranj-o-andoh-o-hirman
hamare bhi hain mehrban kaise kaise
tere cilk-e-qudarat ke qurban aankhen
dikhae hain KHush-ru jawan kaise kaise
kare jis qadar shukr-e-neamat wo kam hai
maze luTti hai zaban kaise kaise
Ghazal
Dahan par hain un ke guman kaise kaise
Haidar Ali Aatish