dahan kholengi apni sipiyan aahista aahista
guzar dariya se ai abr-e-rawan aahista aahista
lahu to ishq ke aaghaz hi mein jalne lagta hai
magar honTon tak aata hai dhuan aahista aahista
palaTna bhi agar chahen palaT kar ja nahin sakte
kahan se chal ke hum aae kahan aahista aahista
kahin lali bhari thaali na gir jae samundar mein
chala hai sham ka suraj kahan aahista aahista
abhi is dhup ki chhatri tale kuchh phul khilne do
zamin badlegi apna aasman aahista aahista
kise ab TuT ke rone ki fursat kar-e-duniya mein
chali jati hai ek rasm-e-fughan aahista aahista
mere dil mein kisi hasrat ke pas-andaz hone tak
nimaT hi jaega kar-e-jahan aahista aahista
makin jab nind ke sae mein sustane lagen 'tabish'
safar karte hain basti ke makan aahista aahista
Ghazal
Dahan kholengi apni sipiyan aahista aahista
Abbas Tabish