dahan hai tang shakar aur shakar tera hai kalam
laban hain pista zanaKH seb o chashm hain baadam
teri nigah se gae khul kiwaD chhati ke
hisar-e-qalb ki goya thi fath tere nam
dilon ki rah mein KHatre paDe hain kya yaro
ki chand roz se mauquf hai payam o salam
umid-war janab-e-KHuda se hai 'hatim'
ki howe kaam ka us ke shitab se anjam
Ghazal
Dahan hai tang shakar aur shakar tera hai kalam
Shaikh Zahuruddin Hatim