dahan-e-mehman mein kanTe
pahlu-e-mezban mein kanTe
KHun thukega jo bhi khaega
aap ke KHas-dan mein kanTe
KHub-ruon ka kya bharosa hai
aan mein phul aan mein kanTe
gul-e-ruKHsar ki hifazat ko
us ne laTkae kan mein kanTe
chubh rahe hain mere KHayalon ko
bagh-e-jannat-nishan mein kanTe
muskuraati KHamoshiyan us ki
mere tarz-e-bayan mein kanTe
hasraten aur ijz-goyai
dil mein kanTe zaban mein kanTe
ret mein rul ke chal gae jauhar
jauhari ki dukan mein kanTe
rakshas ban gae maha-jogi
gyan mein aur dhyan mein kanTe
kabhi hoti thi eDiyon mein KHalish
ab to hain jism-o-jaan mein kanTe
kitna mushkil hua hai rizq-e-halal
shorbe aur nan mein kanTe
chunne wala koi nahin 'sayyad'
aur bhare hain jahan mein kanTe
Ghazal
Dahan-e-mehman mein kanTe
Muzaffar Ali Syed