dahakti KHwahishon mein jal raha hun
kabhi qatil kabhi maqtal raha hun
mera pichha na kar ai zindagani
main rah-e-raftagan pe chal raha hun
main aisa azhdaha hun KHwahishon ka
KHud apna KHun pi kar pal raha hun
raha hun waqif-e-raaz-e-haqiqat
ba-zahir be-KHabar pagal raha hun
rida-e-tishnagi oDhe hue main
samundar ke kinare chal raha hun
gawahi ke liye kafi rahega
main apna KHun munh pe mal raha hun
koi bhula hua naghma hun dil ka
wafa ke aansuon mein Dhal raha hun
Ghazal
Dahakti KHwahishon mein jal raha hun
Karamat Bukhari