daftar-e-lauh o qalam ya dar-e-gham khulta hai
honT khulte hain to ek bab-e-sitam khulta hai
harf-e-inkar hai kyun nar-e-jahannam ka halif
sirf iqrar pe kyun bab-e-iram khulta hai
aabru ho na jo pyari to ye duniya hai saKHi
hath phailao to ye tarz-e-karam khulta hai
mangne walon ko kya izzat o ruswai se
dene walon ki amiri ka bharam khulta hai
band aankhen rahin mela hai luTeron ka laga
ashk luT jate hain jab dida-e-nam khulta hai
jaan dene mein jo lazzat hai bachane mein kahan
dil kisi se jo bandhe uqda-e-gham khulta hai
sath rahta hai sada mahfil o tanhai mein
dil-e-ram-KHurda magar hum se bhi kam khulta hai
dekho pasti se to har ek bulandi hai raaz
jada-e-koh faqat zer-e-qadam khulta hai
qarz ada karna hai jaan ka to chalo maqtal mein
khinch gai bag baja tabl-o-alam khulta hai
Ghazal
Daftar-e-lauh o qalam ya dar-e-gham khulta hai
Waheed Akhtar