اردو हिंदी
Dafatan bichhDega wo bhi dil ko ye dhaDka na tha | Shaahi Shayari
dafatan bichhDega wo bhi dil ko ye dhaDka na tha

Ghazal

Dafatan bichhDega wo bhi dil ko ye dhaDka na tha

Jawed Manzar

;

dafatan bichhDega wo bhi dil ko ye dhaDka na tha
jo mere hamrah tha lekin mera saya na tha

soch ka tufan shadabi baha kar le gaya
aisa lagta hai ki ye chehra kabhi mera na tha

mausam-e-gul mein hawaen jaise pathrai rahin
KHushbuon ka koi jhonka is taraf aaya na tha

yun achanak jag jaane ki mujhe aadat na thi
aur us ko bhi shikast-e-KHwab ka KHadsha na tha

aaj ta-hadd-e-nazar be-kaif 'manzar' ho gaya
is tarah rangon ko suraj ne kabhi khaya na tha