اردو हिंदी
Dabi aawaz mein karti thi kal shikwe zamin mujhse | Shaahi Shayari
dabi aawaz mein karti thi kal shikwe zamin mujhse

Ghazal

Dabi aawaz mein karti thi kal shikwe zamin mujhse

Ali Jawwad Zaidi

;

dabi aawaz mein karti thi kal shikwe zamin mujh se
ki zulm o jaur ka ye bojh uTh sakta nahin mujh se

agar ye kashmakash baqi rahi jahl o tamaddun ki
zamana chhin lega daulat-e-ilm-o-yaqin mujh se

tumhin se kya chhupana hai tumhaari hi to baaten hain
jo kahti hai tamanna ki nigah-e-wapsin mujh se

nigahen chaar hote hi bhala kya hashr uTh jata
yaqinan is se pahle bhi mile hain wo kahin mujh se

dikha di main ne wo manzil jo in donon ke aage hai
pareshan hain ki aaKHir ab kahen kya kufr o din mujh se

ye mana zarra-e-awara-e-dasht-e-wafa hun main
nibhana hi paDega tujh ko duniya-e-hasin mujh se

sar-e-manzil pahunch kar aaj ye mahsus hota hai
ki lakhon laghzishen har gam par hoti rahin mujh se

udhar sari tamannaon ka markaz aastan un ka
idhar barham tamanna par meri sarkash jabin mujh se