dab gain maujen yakayak josh mein aane ke baad
miT gai tufan ki hasti mujh se Takrane ke baad
saKHtiyan mere liye aasaniyan banti gain
shahsawar-e-karbala ki yaad aa jaane ke baad
dekh li chashm-e-jahan ne quwwat-e-mazlumiyat
Dhaha gae KHud zalimon ke ghar sitam Dhane ke baad
sai-e-haq mein mere mathe ka pasina dekh kar
pani pani ho gain maujen bhi lahrane ke baad
thi mere aane se pahle har taraf chhai KHizan
sahn-e-gulshan mein bahaar aai mere aane ke baad
dastan-e-ghair mein koi haqiqat thi agar
gard ho kar uD gai kyun mere afsane ke baad
chhoD kar tarz-e-fughan mahw-e-rajaz-KHwani hue
naghma-sanjaan-e-chaman meri ghazal gane ke baad
tera shoala phunk sakta hai use mana magar
soch le ai shama apna hashr parwane ke baad
mujh ko aati hai hansi naseh teri is baat par
tu samajhta hai ki main samjhunga samjhane ke baad
KHak uDai yun bagulon ne ki parda paD gaya
kaun jaane kya hua sahra mein diwane ke baad
aashiyana jal gaya zulm-o-jafa-o-jaur ka
meri aah-e-atishin ke 'barq' ban jaane ke baad

Ghazal
Dab gain maujen yakayak josh mein aane ke baad
Rahmat Ilahi Barq Aazmi