dab gai kyun meri aawaz kaho to kah dun
is bhari bazm mein wo raaz kaho to kah dun
mere naghmon ko sar-e-bazm tarasne walo
be-sada kyun hai mera saz kaho to kah dun
apne mohsin ka bhi ehsan bhulane wale
kis ne baKHsha tumhein eazaz kaho to kah dun
kaise ghairon ko mila gosha-e-pinhan ka suragh
kaun nigaran tha daghabaz kaho to kah dun
jab tumhein apni gharaz thi to mila di tum ne
kis ki aawaz mein aawaz kaho to kah dun
jism-e-inkar pe iqrar ka rahta hai libas
un ki guftar ka andaz kaho to kah dun
mujh mein 'kausar' thi nihan taqat-e-parwaz magar
kis ne kaTe par-e-parwaz kaho to kah dun
Ghazal
Dab gai kyun meri aawaz kaho to kah dun
Kausar Siwani