dawe bulandiyon ke karen kis zaban se hum
KHud aa gae zamin pe jab aasman se hum
hum ko bhi maslahat ne siyasi bana diya
pahle kahan mukarte the apni zaban se hum
donon qadam baDhaen miTane ko nafraten
aaghaz tum wahan se karo aur yahan se hum
raste ki har nigah tujhe puchhti mili
guzre tere baghair jidhar se jahan se hum
hum dhup ke bajae ghani chhanw se jale
tha KHauf rahzanon ka luTe pasban se hum
paDhna jise fuzul samajhti hai nasl-e-nau
mashhur ho gae isi urdu zaban se hum
tab dushmanon ke bab mein sochen 'faraaz' hum
fursat zara jo paen gham-e-dostan se hum
Ghazal
Dawe bulandiyon ke karen kis zaban se hum
Mujahid Faraaz