dawa-e-did kiya jab kisi shaidai ne
chaar-su aag chhiDak di teri ranai ne
lakh dhoke diye rangini-o-ranai ne
aankh uTha kar bhi na dekha tere shaidai ne
un marizan-e-mohabbat ki dawa hai na dua
kar diya jin pe karam teri masihai ne
Dub kar dil ne kiya gharq safina aaKHir
bahr-e-ulfat mein Duboya nahin gahrai ne
naqsh-e-pa un ka magar sar ko mayassar na hua
dar-ba-dar KHwar kiya zauq-e-jabin-sai ne
sang hain guhar-e-guhar jin ki ziya baKHshi se
bazm-e-hasti mein kuchh aise bhi to hain aaine
hum ne dekha to zamane ki nazar us pe uThi
bhar diya rang tamashe mein tamashai ne
dekhne hi na diya un ko 'rishi' mahfil mein
kuchh tahayyur ne kuchh andesha-e-ruswai ne
Ghazal
Dawa-e-did kiya jab kisi shaidai ne
Rishi Patialvi