dastan kya thi aur kya bana di gai
kuchh ghaTa di gai kuchh baDha di gai
kar ke tajdid-e-ahd-e-wafa dil-nashin
qaid ki aur muddat baDha di gai
jaan hatheli pe le kar pahunch hi gae
ahl-e-dil ko jahan bhi sada di gai
rabt-e-baham wo pahle sa baqi nahin
kaisi surat jahan ki bana di gai
chashm-e-haq-bin mein duniya ye kuchh bhi nahin
sirf aankhon mein dilkash bana di gai
bhul pana unhen ab to mumkin nahin
dil mein kaisi ye surat basa di gai
kho gae kin KHayalon mein tum ai 'sahar'
mahfil-e-jaan-o-dil to saja di gai

Ghazal
Dastan kya thi aur kya bana di gai
Sahar Mahmood