dastan kah ke pareshan dil-e-nakaam na ho
is KHamoshi mein bhi pinhan koi paigham na ho
ishq mein bhi hai taqaza meri KHuddari ka
jo mere dil ko mili hai wo KHalish-e-am na ho
mangne hi ka tariqa nahin aata hum ko
ghair-mumkin hai teri chashm-e-karam aam na ho
phul ke sae mein kanTon ko bhi rahne dije
subh ki qadr na ki jae agar sham na ho
had se jo chiz bhi baDhti hai badal jati hai
kis tarah meri wafaon ka junun nam na ho
aaj kyun hath tere kanp rahe hain saqi
dekh to KHun gharibon ka tah-e-jam na ho
kaun aisa hai jo duniya ki zaban ko roke
main ne mana ki mere lab pe tera nam na ho
jalwa-e-husn numayan hai har ek zarre se
kya kiya jae agar zauq-e-nazar aam na ho
kar-e-duniya mein lage rahte hain hum ai 'shaarib'
shairi us ke liye hai jise kuchh kaam na ho
Ghazal
Dastan kah ke pareshan dil-e-nakaam na ho
Sharib Lakhnavi