اردو हिंदी
Dastan-e-fitrat hai zarf ki kahani hai | Shaahi Shayari
dastan-e-fitrat hai zarf ki kahani hai

Ghazal

Dastan-e-fitrat hai zarf ki kahani hai

Hayat Warsi

;

dastan-e-fitrat hai zarf ki kahani hai
jitna uthla dariya hai utna tez pani hai

jin labon ne sincha hai tishnagi ke KHaron ko
ab unhin ke hisse mein jam-e-kaamrani hai

phir se khulne wala hai koi taza gul shayad
baghban ki phir hum par KHasi mehrbani hai

aql kab se bhaTke hai nafraton ki wadi mein
pyar ki magar ab bhi dil pe hukmarani hai

zaKHm khate rahte hain muskuraate rahte hain
hum wafa-shanason ki ye ada purani hai

barf ban gae arman munjamid hue jazbe
zist ke samundar mein kitna sard pani hai

apne sae se hum KHud ai hayat Darte hain
maslahat ki duniya mein kitni bad-gumani hai