dastan bhi muKHtalif lahja bhi yaron se juda
panchwan darwesh to hai pahle chaaron se juda
zahr na-puKHta mizajon mein bhara karte hain ye
aap rahiyega zara in hoshyaron se juda
shor barpa ho gaya har gosha-e-gulzar mein
jab ubhar aaya naya manzar bahaaron se juda
chaT jati hirs ki dimak faqiron ke bhi tan
siraten un ki thin lekin shahryaron se juda
bas gham-e-jaanan nahin lekin gham-e-duniya to hai
aap kaise ho gae phir dil-figaron se juda
'nasir' o 'bani' sa tujh ko bhi saraha jaega
jab tera rang-e-suKHan hoga hazaron se juda
Ghazal
Dastan bhi muKHtalif lahja bhi yaron se juda
Arif Ansari