اردو हिंदी
Daru-e-dard-e-nihan rahat-e-jaani sanama | Shaahi Shayari
daru-e-dard-e-nihan rahat-e-jaani sanama

Ghazal

Daru-e-dard-e-nihan rahat-e-jaani sanama

Bedam Shah Warsi

;

daru-e-dard-e-nihan rahat-e-jaani sanama
isa-e-murda-dilan yusuf-e-sani sanama

tere sadqe meri jaan tujh pe mera dil qurban
waris-e-kaun-o-makan faKHr-e-zamani sanama

tera har jalwa hai aaina-e-asrar-e-azal
teri surat mein hain anwar-e-maani sanama

dil ke daghon ko kaleje se laga rakkha hai
ki yahi dagh to hain teri nishani sanama

tu hi jab qissa-e-gham se mere ghabraata hai
phir sune kaun mere gham ki kahani sanama

ta-kuja ashk bujhaenge mere dil ki lagi
phunke deta hai mujhe soz-e-nihani sanama

waqf sajda hai tere dar pe jabin-e-'bedam'
qibla-e-dil sanamda kaba-e-jaani sanama