اردو हिंदी
Danista jo ho na sake nadani se ho jata hai | Shaahi Shayari
danista jo ho na sake nadani se ho jata hai

Ghazal

Danista jo ho na sake nadani se ho jata hai

Bharat Bhushan Pant

;

danista jo ho na sake nadani se ho jata hai
aag ka dariya par baDi aasani se ho jata hai

had-e-nazar tak ek tanhai KHak uDati phirti hai
sahra be-bas apni hi virani se ho jata hai

jitni umr sarabon ka pichha karne mein guzarti hai
itna gahra pyas ka rishta pani se ho jata hai

ghar se nikalna bhi mushkil hai ghar mein rahna bhi mushkil hai
kaisa mausam barish ki man-mani se ho jata hai

rone se dil halka to ho jata hai lekin socho
wo nuqsan jo ashkon ki arzani se ho jata hai

jhil ki gahri KHamoshi bhi hoti hai mashkuk magar
dariya ruswa maujon ki tughyani se ho jata hai