danish-o-fahm ka jo bojh sambhaale nikle
un ke azhan pe afkar pe jale nikle
main ye samjha ki koi narm zamin aa pahunchi
ghaur se dekha to wo panw ke chhaale nikle
zaKHm kha kar ye thi KHush-fahmi ki mar jaenge
dosto hum to baDe hausle wale nikle
dil TaTola shab-e-tanhai to mahsus hua
hum bhi ai dost tere chahne wale nikle
aaj ke daur ke suqraat pe kya hoga asar
apni hi zat mein jo zahr ke pyale nikle
phan ko phailae jo ye aaj khaDe hain 'jawed'
aastin ke ye meri apne hi pale nikle
Ghazal
Danish-o-fahm ka jo bojh sambhaale nikle
Zuhoor-ul-Islam Javed