dane ke baad kuchh nahin dam ke baad kuchh nahin
subh ke baad sham hai sham ke baad kuchh nahin
KHwab ka aaKHiri KHumar aankh mein hai kuchh intizar
nind zara sa kaam hai kaam ke baad kuchh nahin
KHak-e-KHarab hun zamin tu mera majra na sun
naqsh ke baad nam tha nam ke baad kuchh nahin
shahr ki had bhi map li sham bhi dil pe chhap li
ek charagh aur ek baam ke baad kuchh nahin
wasl gaya to hijr tha hijr gaya to kuchh na tha
KHas ke baad aam hon aam ke baad kuchh nahin
jism ka nashsha pi chuke apni taraf se ji chuke
chaliye ki jam ulaT chuka jam ke baad kuchh nahin
Ghazal
Dane ke baad kuchh nahin dam ke baad kuchh nahin
Shaheen Abbas