daman se apne jhaD ke sahra-e-gham ki dhul
aao chalo na hum bhi chunen sarKHushi ke phul
aaKHir ko mil saki na bashar ko rah-e-najat
yun to har ek daur mein aate rahe rasul
daman bacha ke aaiyo mere mazar tak
ai jaan-e-nau-bahaar uge hain idhar babul
dekha kabhi jo dahr ko shair ki aankh se
KHallaq-e-kaenat bhi sadiyon raha malul
aaega koi jam mai-e-sarKHushi liye
ai dil kuchh aur der hinDole mein gham ke jhul
Ghazal
Daman se apne jhaD ke sahra-e-gham ki dhul
Raza Ashk