اردو हिंदी
Daman saba na chhu sake jis shah-sawar ka | Shaahi Shayari
daman saba na chhu sake jis shah-sawar ka

Ghazal

Daman saba na chhu sake jis shah-sawar ka

Sauda Mohammad Rafi

;

daman saba na chhu sake jis shah-sawar ka
pahunche kab us ko hath hamare ghubar ka

mauj-e-nasim aaj hai aaluda gard se
dil KHak ho gaya hai kisi be-qarar ka

KHun-e-jigar sharab o tarashshah hai chashm-e-tar
saghar mera giro nahin abr-e-bahaar ka

chashm-e-karam se aashiq-e-wahshi asir ho
ulfat hai dam-e-ahu-e-dil ke shikar ka

saunpa tha kya junun ne gareban ko mere
leta hai ab hisab jo ye tar tar ka

'sauda' sharab-e-ishq na kahte the ham, na pi
paya maza na tu ne ab us ke KHumar ka