daman qarar-e-dil ke sab tar tar dekhe
jab teri wadiyon ke kuchh aabshaar dekhe
jis ne teri KHizan ke aise nikhaar dekhe
gulzar-e-KHuld ki phir wo kya bahaar dekhe
har subh ki jhalak mein har sham ki shafaq mein
sau sau tarah ke hum ne naqsh-o-nigar dekhe
baadal ka ghir ke aana kud ki pahaDiyon par
ai kash wo nazara phir chashm-e-zar dekhe
ek parda-posh aalam ko be-naqab dekha
jab sabz sabz tere ye kohsar dekhe
gul-rez sarzamin mein wo dil-farebiyan hain
jo ek bar dekhe wo bar bar dekhe
bach bach ke jin se ab tak tai kar rahe the rahen
wo tir aaj hum ne sine ke par dekhe
Ghazal
Daman qarar-e-dil ke sab tar tar dekhe
Muhiuddin Fauq