اردو हिंदी
Daman ko uske khinchen aghyar sab taraf se | Shaahi Shayari
daman ko uske khinchen aghyar sab taraf se

Ghazal

Daman ko uske khinchen aghyar sab taraf se

Meer Hasan

;

daman ko us ke khinchen aghyar sab taraf se
aur aah hum ye khinchen aazar sab taraf se

jab kaam-e-dil na hargiz hasil hua kahin se
dil ko uTha ke baiThe na-chaar sab taraf se

ji chahta hai is ke kuche mein baiTh rahiye
kar tark-e-ashnai yakbar sab taraf se

tujh pas bhi na aawen hum ab to jaen kidhar
tu ne to hum ko khoya ai yar sab taraf se

mizhgan se us ke kyunkar dil chhuT sake hamara
ghere hue hain is ko we KHar sab taraf se

parde hazar howen hail pa husn us ka
deta hai talibon ko didar sab taraf se

kona bhi ek dil ka sabit nahin ye kis ne
is ghar ko kar diya hai mismar sab taraf se

nala zaif apna pahunchega kyunki wan tak
ki hai buland us ne diwar sab taraf se

ek bar to azizan tum mil ke haal mera
kar baiTho us ke aage izhaar sab taraf se

diwana ho ke chhuTa duniya se warna yaran
hote gale ke mere tum haar sab taraf se

we din bhi aah koi kya the ki jin dinon mein
dil ko KHushi thi apne dildar sab taraf se

bas tere gham mein aa kar ab KHak ho gae hum
dil bujh gaya hamara ek bar sab taraf se

zikr-e-wafa-o-ulfat mat chheD bas 'hasan' ab
ji ho raha hai apna bezar sab taraf se