daman hai mera dasht ka daman dusra
meri tarah na phaDe gareban dusra
yak-rang hun main us gul-e-rana ke ishq mein
bulbul na hun ki DhunDun gulsitan dusra
tha hi gham-e-firaq mila us mein dard-e-rashk
muflis ke ghar mein aaya ye mehman dusra
teri haya-e-chashm sa dekha nahin raqib
yan ehtiyaj kya hai nigahban dusra
uryan-tanon ke sar pe teri KHak-e-ku rahe
dar-karwan nahin sar-o-saman dusra
kije zamir-e-KHak ko aadam ki chhan agar
us shakl ka ban aawe na insan dusra
ju-ul-baqar rakhe ye shaiKH-e-shikam-parast
ek KHwan kha kahe hai kahan KHwan dusra
sair-e-ajab rakhe hai teri jalwa-gah-e-naz
is lutf ka kahan hai KHyaban dusra
naqd-e-dil us ko dena hai 'hasrat' sawab o farz
us zulf sa na hoga pareshan dusra
Ghazal
Daman hai mera dasht ka daman dusra
Hasrat Azimabadi