daman-e-zabt ko ashkon mein bhigo leta hun
dard jab had se guzarta hai to ro leta hun
aankh lagti hi nahin nind kahan se aae
nind aati nahin kahne ko to so leta hun
jab nahin milta anis-e-gham-e-furqat koi
rakh ke taswir teri samne ro leta hun
ab teri yaad hi taskin-e-dil-o-jaan hai mujhe
ab tere dard ke bistar pe bhi so leta hun
jab bhi mil jati hai fursat gham-e-duniya se 'shakeb'
yaad kar ke unhen tanhai mein ro leta hun
Ghazal
Daman-e-zabt ko ashkon mein bhigo leta hun
Shakeb Banarsi