daman-e-dil se gard-e-talluq ko jhaDiye
jun sarw panw bagh-e-tajarrud mein gaDiye
mumkin nahin ki dekhiye ru-e-shaguftagi
jab tak ba-rang-e-ghuncha gareban na phaDiye
jo kuchh ki hath aae uDa dijiye use
qarun ki tarah mal zamin mein na gaDiye
basti mein dil ki hirs-o-hawa ka qayam hai
taufiq ho rafiq to is ko ujaDiye
'joshish' koi hazar kare yan muKHalifat
apni taraf se to na kisi se bigaDiye
Ghazal
Daman-e-dil se gard-e-talluq ko jhaDiye
Joshish Azimabadi