اردو हिंदी
Dam mein hum ko late ho tum dil aTka hai aur kahin | Shaahi Shayari
dam mein hum ko late ho tum dil aTka hai aur kahin

Ghazal

Dam mein hum ko late ho tum dil aTka hai aur kahin

Jurat Qalandar Bakhsh

;

dam mein hum ko late ho tum dil aTka hai aur kahin
sher paDhane hum se aur mazmun gaTha hai aur kahin

aankhen zara milana idhar ko kyun ji ye kya baaten hain
baat ki hum se uThani lazzat ji ka maza hai aur kahin

haq to hai kuchh haal-e-dil apna kahte hain jab tum se hum
kan lagae sunte ho par dhyan laga hai aur kahin

dekhiyo ye ayyari koi kya kya hum ko lapeTe mein
wo but-e-pur-fan leta hai dil jis ne diya hai aur kahin

Tok ke us se baat karun to yun wo kahe hai chitwan mein
mujh ko na chheDo dhyan aji is waqt mera hai aur kahin

hum se zabani milne ko tum kahte ho hum jaante hain
dil se par aane jaane ka iqrar kiya hai aur kahin

dekh ke hum ko jo kahte ho tum aao baiTho baat karo
baaten ye sab zahir ki hain uns hua hai aur kahin

ab to kuchh hamdard se mere aate ho tum mujh ko nazar
tum sa shayad koi pyare tum ko mila hai aur kahin

baiThe ho mujh pas wa-lekin ghabrane se nikle hai
aankh bacha kar uTh jaane ka dhyan bandha hai aur kahin

zahir mein tum kahte ho mujh ko baiTho abhi to jao na ghar
mujh ko to malum hai jo paigham gaya hai aur kahin

baaten kar ke lagawaT ki ye kafir hun gar jhuT kahun
dil ko mere tum lete ho ji nam-e-KHuda hai aur kahin

haif hai us ke hone par jo yaad karo tum ghair ko jaan
'jurat' mein jo nahin so aisi baat wo kya hai aur kahin