dam-e-ulfat mein phansa dil hae dil afsos dil
ab na howega riha dil hae dil afsos dil
wo use kya kya kahe aur ye sarakta hi nahin
ho gaya yun be-haya dil hae dil afsos dil
milte hi zalim ne mujh ko chhoD kar yun yak-ba-yak
ho gaya mujh se juda dil hae dil afsos dil
aah-o-nale ki sada bhi ab to aane se rahi
mar gaya shayad mera dil hae dil afsos dil
kis tarah us se banegi hai bahut wo bewafa
aur mera hai ba-wafa dil hae dil afsos dil
main ne kitna dil ko samjhaya ki ab bhi ishq se
baz aa dil baz aa dil hae dil afsos dil
so na mana dil ne aur saude mein aaKHir ishq ke
yun diwana ho gaya dil hae dil afsos dil
chhoD kar mere tain aur pas zalim ke rahe
aur sahe jaur-o-jafa dil hae dil afsos dil
phir to 'asif' ghair se kis baat ki kije ummid
jab ki apna de dagha dil hae dil afsos dil
Ghazal
Dam-e-ulfat mein phansa dil hae dil afsos dil
Asif-ud-Daula