dam-e-KHayal-e-zulf-e-butan se chhuDa liya
kya baal baal mujh ko KHuda ne bacha liya
ab us ko rahm aae ye qismat ke hath hai
ban jae baat haal to hum ne bana liya
sharma ke munh chhupane ka andaz dekhna
goya ki us ne aib hamara chhupa liya
ya ye ki hum ne tark-e-mohabbat ki Than li
ya ye hua ki aaj kisi ko mana liya
hota hun ek nale pe mein qatl hae hae
aawaz de ke apni qaza ko bula liya
zalim fareb de ke na le dil gharib ka
ek rose kaam aaega tera diya liya
rashk-e-raqib ho ki gham-e-duri-e-habib
jo waqt par nasib hua hum ne kha liya
main kya kahun ke jaan rahi kis azab mein
jab us ne mujh ko apni barabar biTha liya
jhuTa sahi zalil sahi koi kuchh kahe
main ne to aaj un ko gale se laga liya
puchhi hai dost ban ke mere dil ki aarzu
us ne zaban de ke mera muddaa liya
le koi shan ki to bas itna kiya karo
jis se koi baDai suni aazma liya
mehman dost ko jo kiya doston ke sath
dekha tha jis ko dida-waron ko dikha liya
us ki bhi maut sahal ho sakraat se bache
jis ne hamari naza mein nam aap ka liya
baiThe to baat karne na di bazm-e-ghair mein
uTThe to apne sath hi mujh ko uTha liya
dil ka hi ek nam hai shayad KHayal bhi
aisa agar nahin hai to dil us ne kya liya
mashuq ko to jalwa-numai zarur hai
dekho aziz misr ke so main dikha liya
is darja tu ne KHasta kiya ai gham-e-firaq
hum ko hamari gor ne honTon se kha liya
samjha safi' ko aap ne jo kuchh ghalat hai ye
duniya ka bad-maash zamane ka chaaliya

Ghazal
Dam-e-KHayal-e-zulf-e-butan se chhuDa liya
Safi Aurangabadi