dalan mein kabhi kabhi chhat par khaDa hun main
sayon ke intizar mein shab bhar khaDa hun main
kya ho gaya ki baiTh gai KHak bhi meri
kya baat hai ki apne hi upar khaDa hun main
phaila hua hai samne sahra-e-be-kanar
aankhon mein apni le ke samundar khaDa hun main
sannaTa mere chaaron taraf hai bichha hua
bas dil ki dhaDkanon ko pakaD kar khaDa hun main
soya hua hai mujh mein koi shaKHs aaj raat
lagta hai apne jism se bahar khaDa hun main
ek hath mein hai aaina-e-zat-o-kaenat
ek hath mein liye hue patthar khaDa hun main
Ghazal
Dalan mein kabhi kabhi chhat par khaDa hun main
Salim Saleem