daghon se dil-o-sina ke afroKHta-jaan hun
go main chaman-e-taza hun par waqf-e-KHizan hun
pahlu mein agar dil hai to tu dil mein hai mere
go nang-e-KHalaeq hun magar jaan-e-jahan hun
jis KHak pe main baiTh gaya fitna uThaya
kis sarw-e-KHiraman ki kaf-e-pa ka nishan hun
hamrah tumhaare hun kisi ja hun kahin hun
saya ki tarah tum ho jahan main bhi wahan hun
yarab ho bura wahshat dil ka ki nahin chain
jab KHak hua mar ke to ab reg-e-rawan hun
kya zist hai ye KHak meri aashiq-e-nashad
gah masraf-e-fariyaad hun gah waqf-e-fughan hun
Ghazal
Daghon se dil-o-sina ke afroKHta-jaan hun
Ashique Akbarabadi