dagh jo ab tak ayan hain wo bata kaise miTen
fasle jo darmiyan hain wo bata kaise miTen
ek muddat se dilon mein dard ki hain bastiyan
dard ki jo bastiyan hain wo bata kaise miTen
raat bhar soya nahin main bas isi ek fikr mein
an-suni kuchh siskiyan hain wo bata kaise miTen
kis tarah rishton mein aai talKHiyan ye phir kaji
be-sabab jo talKHiyan hain wo bata kaise miTen
shama kal jalti rahi hai der tak is soch mein
kuchh andhere be-zaban hain wo bata kaise miTen
jo purane the gunah wo dho diye tu ne magar
KHun ke taza nishan hain wo bata kaise miTen
main ghamon ke baadalon ki baat ab karta nahin
KHauf ke jo aasman hain wo bata kaise miTen
Ghazal
Dagh jo ab tak ayan hain wo bata kaise miTen
ShivKumar Bilgarami